Mohammad Asadullah

lo aa gaya hai koh-e-nida kan na dharo

Mohammad Asadullah

Warud, Maharashtra, India

1958
lo aa gayā hai koh-e-nidā kaan na dharo
ik shor har taraf hai bapā kaan na dharo
chhup jaao in paroñ meñ masāfat sameT lo
masmūm ho ga.ī hai fazā kaan na dharo
ham bolne ke kaam par māmūr haiñ magar
kuchh zahr bhī hai is meñ bharā kaan na dharo
har dil meñ be-qarār sī ik lahr maujzan
har lab pe hai kisī kā gila kaan na dharo
lab harf-e-iztirāb kā parda na rakh sake
samjho ki maiñ ne kuchh na kahā kaan na dharo
chhin jaa.e na kahīñ ye sadā jāgte raho
raste meñ aa.e koh-e-nidā kaan na dharo
harf-e-vafā kī chhāñv meñ Thahro na din Dhale
koī kisī kā kab hai sadā kaan na dharo
Top Urdushayar.com