Sultan Akhtar

jis ko qarib paya usi se lipaT gae

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
jis ko qarīb paayā usī se lipaT ga.e
sūraj Dhalā to log qabīloñ meñ baT ga.e
vo gul-parast jin pe bahāroñ ko naaz thā
aa.ī ḳhizāñ to pā-e-ḳhizāñ se lipaT ga.e
kis kis kī maiñ hujūm meñ āñkheñ nikāltā
achchhā huā ki aap darīche se haT ga.e
jo qahqahe kī jaañ se ziyāda aziiz the
zinda-dilī ke naam pe kal vo bhī baT ga.e
ThiThure hue badan ko harārat na mil sakī
chhat par chaḌhe to dhuup ke saa.e simaT ga.e
jin hausloñ pe koh-e-girāñ kā gumān thā
āñdhī chalī to saikḌoñ hissoñ meñ baT ga.e
Top Urdushayar.com