kuchh Dūbtā ubhartā sā rahtā hai sāmne
har lamha ik tilism-e-tamāsha hai sāmne
uḌtī hai sehn-e-dil meñ tahī-manzarī kī ḳhaak
rañgoñ kā ik hujūm sā bikhrā hai sāmne
bikhrī huī hai dhund sar-e-shīsha-e-talab
be-rañg-o-nūr aks-e-tamannā hai sāmne
zulmāt-e-intishār meñ āñkheñ khulī rakho
tum jis ko DhūñDte ho vo duniyā hai sāmne
ik ḳhauf-e-be-panāh hai āñkhoñ ke ār-pār
tārīkiyoñ meñ Dūbtā lamha hai sāmne
ham phir bhī justujū meñ bhaTakte haiñ dar-ba-dar
hālāñki har qadam pe vo rahtā hai sāmne