Sultan Akhtar

barae nam sahi din ke hath pile hain

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
barā.e naam sahī din ke haath piile haiñ
kahīñ kahīñ pe abhī raushnī ke Tiile haiñ
tamām raat mire ġham kā zahr chūsā hai
isī liye tirī yādoñ ke hoñT niile haiñ
hamāre zabt kī dīvār āhanī na sahī
tumhāre tanz ke neze kahāñ nukīle haiñ
unheñ bhī aaj kī tahzīb chaaT jā.egī
kahīñ kahīñ pe jo simTe hue qabīle haiñ
badan kā loch laboñ kī miThās qurb kā lams
tasavvurāt ke sab zā.iqe rasīle haiñ
ḳhulūs-e-dil se samā.at kā imtihān to lo
ġham-e-hayāt ke naġhme baḌe surīle haiñ
Top Urdushayar.com