Sultan Akhtar

ye jo hum atlas o kim-KHwab liye phirte hain

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
ye jo ham atlas o kim-ḳhvāb liye phirte haiñ
azmat-e-rafta ke ādāb liye phirte haiñ
dekh kar un ko laraz jaatī hai har mauj-e-balā
apnī kashtī meñ jo girdāb liye phirte haiñ
tiir kitne haiñ la.iiñ aur tire tarkash meñ
dekh ham sīna-e-be-tāb liye phirte haiñ
dekhnā un ko bhī Das legī kaḌe vaqt kī dhuup
vo jo kuchh ḳhvāhish-e-shādāb liye phirte haiñ
apnī tahzīb kā ab koī talabgār nahīñ
be-sabab ham par-e-surḳhāb liye phirte haiñ
merā bhī kāsa-e-ta.abīr hai ḳhālī ḳhālī
vo bhī āñkhoñ meñ ka.ī ḳhvāb liye phirte haiñ
tīrgī shahr-e-ġhazālāñ se nikaltī hī nahīñ
laakh vo sūrat-e-mahtāb liye phirte haiñ
ye to sadqa hai husain-ibn-e-alī kā 'aḳhtar'
tishnagī ham jo sar-e-āb liye phirte haiñ
Top Urdushayar.com