harā shajar na sahī ḳhushk ghaas rahne de
zamīñ ke jism pe koī libās rahne de
kahīñ na raah meñ sūraj kā qahr TuuT paḌe
tū apnī yaad mire ās-pās rahne de
bikhar chuke haiñ samā.at ke talḳh shīrāze
ab apne naram laboñ kī miThās rahne de
vo dekh Dah chukīñ vahm-o-gumāñ kī dīvāreñ
yaqīn chīḳh rahā hai qayās rahne de
baḌā latīf añdherā hai raushnī na jalā
urūs-e-shab ko abhī ḳhush-libās rahne de
tasavvurāt ke lamhoñ kī qadr kar pyāre
zarā sī der to ḳhud ko udaas rahne de