Sultan Akhtar

kisi ke waste jita hai ab na marta hai

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
kisī ke vāste jiitā hai ab na martā hai
har aadmī yahāñ apnā tavāf kartā hai
sab apnī apnī nigāheñ sameT lete haiñ
vo ḳhush-libās sar-e-shām jab bikhartā hai
maiñ jis kī raah meñ har shab diye jalātā huuñ
vo māhtāb zamīñ par kahāñ utartā hai
hamārā dil bhī hai vīrāñ haveliyoñ kī tarah
tamām raat yahāñ koī aah bhartā hai
maiñ us ke naqsh-e-kaf-e-pā bhī chhū nahīñ saktā
vo tez-gām havāoñ ke par katartā hai
na bām-e-ārzū raushan na sā.ebān-e-talab
sarā-e-dil meñ kahāñ koī ab Thahartā hai
sab apne aap se ḳhā.if haiñ in dinoñ 'aḳhtar'
har ek shaḳhs yahāñ ā.īne se Dartā hai
Top Urdushayar.com