fursat meñ rahā karte haiñ fursat se zyāda
masrūf haiñ ham log zarūrat se zyāda
miltā hai sukūñ mujh ko qanā.at se zyāda
masrūr huuñ maiñ apnī masarrat se zyāda
chaltā hī nahīñ dānish o hikmat se koī kaam
bantī hai yahāñ baat himāqat se zyāda
tanhā maiñ hirāsāñ nahīñ is kār-e-junūñ meñ
sahrā hai pareshāñ mirī vahshat se zyāda
ab koī bhī sachchā.ī mire saath nahīñ hai
yaanī maiñ gunahgār huuñ tohmat se zyāda
is reg-e-ravāñ ko maiñ sameTūñ bhī kahāñ tak
bikhrā hai vo har-sū mirī vus.at se zyāda
raushan hai bahut jhuuT mire ahd meñ 'aḳhtar'
afsāna munavvar hai haqīqat se zyāda