Sultan Akhtar

hangamon ke qaht se khiDki darwaze mabhut

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
hañgāmoñ ke qaht se khiḌkī darvāze mab.hūt
āñgan āñgan naach rahe haiñ sannāToñ ke bhuut
bojhal āñkheñ pathrīle lab ujḌe hue ruḳhsār
sab ke kāñdhoñ par rakkhe haiñ chehroñ ke tābūt
alag alag ḳhud hī kar legī lamhoñ kī mīzān
kis ko fursat kaun gine ab bure-bhale kartūt
chamak rahe haiñ māyūsī ke tez nukīle daañt
dil ke chaurāhe par zaḳhmī ummīdeñ mab.hūt
haal se ab samjhautā kar ke tāza-dam ho lo
mustaqbil tak Dho na sakoge maazī kā tābūt
Top Urdushayar.com