Sultan Akhtar

raqs-e-taus-e-tamanna nahin hone wala

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
raqs-e-tā.ūs-e-tamannā nahīñ hone vaalā
ab yahāñ koī tamāshā nahīñ hone vaalā
sarfarāz-e-jahāñ honā hī nahīñ hai mujh ko
sāhibo maiñ sag-e-duniyā nahīñ hone vaalā
khīñch lo dast-e-talab band karo chashm-e-umīd
vo tunuk-zarf kisī kā nahīñ hone vaalā
mujh ko hañgāma-e-duniyā ne navāzā hai bahut
maiñ to ḳhalvat meñ bhī tanhā nahīñ hone vaalā
phir bhī masrūf haiñ ham us kī taraf-dārī meñ
jānte haiñ vo hamārā nahīñ hone vaalā
ab bhī tābinda haiñ ā.īna-e-ayyām meñ ham
aks apnā kabhī dhundlā nahīñ hone vaalā
raat bhar jashn-e-mulāqāt munavvar hī sahī
sub.h-dam koī kisī kā nahīñ hone vaalā
yuuñ to sab kuchh hai magar ḳhema-e-ḳhush-ḳhvābī meñ
ham faqīroñ kā guzāra nahīñ hone vaalā
koī mausam bhī ho shādāb rahegā 'aḳhtar'
shajar-e-shauq fasurda nahīñ hone vaalā
Top Urdushayar.com