Sultan Akhtar

dastar-e-ehtiyat bacha kar na aaega

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
dastār-e-ehtiyāt bachā kar na aa.egā
koī bhī us galī se subuk-sar na aa.egā
bas ek jast aur sar-e-kū-e-justujū
phir rāste meñ koī samundar na aa.egā
uḌ jā.eñge havā meñ sabhī naqsh-e-nā-tamām
aur mausam-e-hunar bhī palaT kar na aa.egā
kab tak rahoge zid ke ahāte meñ ḳhema-zan
vo hadd-e-ehtiyāt se bāhar na aa.egā
yuuñ mutma.in haiñ rāste sehn-e-sukūt ke
jaise kabhī sadāoñ kā lashkar na aa.egā
jo kuchh hai vo bahut hai ki phir is navāh meñ
ik lamha-e-sukūñ bhī mayassar na aa.egā
'aḳhtar' ab intizār kī parchhā.iyāñ sameT
is dhuup meñ vo mom kā paikar na aa.egā
Top Urdushayar.com