Sultan Akhtar

sab ka chehra pas-e-diwar-e-ana rahta hai

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
sab kā chehra pas-e-dīvār-e-anā rahtā hai
ā.īne se yahāñ har shaḳhs ḳhafā rahtā hai
phir bhī ham log vahāñ jiite haiñ jiine kī tarah
mausam-e-qahr jahāñ Thahrā huā rahtā hai
us ke aane kī ab ummīd nahīñ hai raushan
phir bhī darvāza-e-dil hai ki khulā rahtā hai
rañg-e-tābīr chamaktā hī nahīñ āñkhoñ meñ
raat bhar ḳhvāb kā bāzār sajā rahtā hai
bas usī aks se ḳhā.if hai har ik shaḳhs yahāñ
ā.īna-ḳhāne meñ jo chehra-numā rahtā hai
ḳhāna-e-dil pe hukūmat hai usī kī 'aḳhtar'
ye alag baat ki vo mujh se ḳhafā rahtā hai
Top Urdushayar.com