tilism-e-kār-e-jahāñ kā asar tamām huā
ki ḳhaak baiTh ga.ī ab safar tamām huā
bas ik sukūt bikhartā huā hai chāroñ taraf
har ek ma.arka-e-ḳhair-o-shar tamām huā
kahīñ sakūñ na milā ishq se farār ke ba.ad
kisī tarah na mirā dard-e-sar tamām huā
gharoñ meñ Dhaltī huī raat thak ke baiTh ga.ī
ki ab fasāna-e-dīvār-o-dar tamām huā
sab apnī apnī ḳhabar le rahe haiñ vaqt-e-zavāl
diloñ se be-ḳhabarī kā asar tamām huā
phir us ke rū-ba-rū ham dil kī baat kah na sake
hamārā hausla bār-e-digar tamām huā
har ek dāstāñ tujh se shurūa hotī hai
har ek qissa tire naam par tamām huā
na koī baat mukammal huī mirī 'aḳhtar'
na koī kaam mirā sar-ba-sar tamām huā