ḳhvāboñ kī lazzatoñ pe thakan kā ġhilāf thā
āñkheñ lagīñ to niiñd kā maidān saaf thā
dīvār-e-dil se utrī haiñ tasvīreñ saiñkaḌoñ
pasmāñda ḳhvāhishoñ se use iḳhtilāf thā
dekhā qarīb jā ke to sharmindagī huī
chehre pe apne gard thī ā.īna saaf thā
ab ke safar meñ dhuup kī dariyā-dilī na pūchh
aur sāya-e-shajar se mirā iḳhtilāf thā