har-chand apne aks kā dil dardmand ho
ā.īne ke laboñ pe agar zahr-e-ḳhand ho
be-mehr āftāb kā darvāza band ho
āñdhī zarā thame to ghaTā sar-buland ho
har lamha us kī mad.h-sarā.ī na kījiye
mumkin hai aisī baat use nā-pasand ho
har gaam hausloñ kā yahī mudda.ā rahā
gumrāh zindagī kī masāfat do-chand ho
'aḳhtar' maiñ iḳhtilāf kā qaa.il nahīñ magar
ahbāb kā mizāj hī jab shar-pasand ho