apnī tahzīb kī dīvār sambhāle hue haiñ
mere bachche mirā ghar-bār sambhāle hue haiñ
tū ne kuchh bhī na diyā ham ko aziyyat ke sivā
zindagī ham tujhe bekār sambhāle hue haiñ
koī aatā nahīñ ab un kī qadam-bosī ko
donoñ hāthoñ se vo dastār sambhāle hue haiñ
vaqt se aage nikal jā.eñge jab chāheñge
dil-girafta abhī raftār sambhāle hue haiñ
muflisī jhāñktī hai rauzan o dar se lekin
ham laraztī huī dīvār sambhāle hue haiñ
ye bhī ik turfa tamāshā hai ḳhudā-vand-e-jahāñ
terī duniyā ko gunahgār sambhāle hue haiñ
fāqa-mastī meñ bhī jiite haiñ ba-āġhāz-e-junūñ
zindagī ham tirā pindār sambhāle hue haiñ
ābdīda kabhī hone nahīñ dete 'aḳhtar'
mujh ko ab tak mire ġham-ḳhvār sambhāle hue haiñ