Sultan Akhtar

raqs karta hai ba-andaz-e-junun dauDta hai

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
raqs kartā hai ba-andāz-e-junūñ dauḌtā hai
dil agar ḳhush ho to chehre pe bhī ḳhuuñ dauḌtā hai
kabhī sarsabz hai manzar kabhī be-āb-o-giyāh
kisht-e-ummīd meñ ye kaisā fusūñ dauḌtā hai
jazba-e-ishq bahut ḳhaak uḌātā hai magar
kū-e-jānāñ meñ ba-andāz-e-sukūñ dauḌtā hai
sirf maḳhlūq-e-ḳhudā par hī to mauqūf nahīñ
sīna-e-dahr meñ bhī soz-e-darūñ dauḌtā hai
ḳhastagī aisī to mujh par kabhī guzrī hī na thī
ab ke sar-tā-ba-qadam hāl-e-zabūñ dauḌtā hai
yaad aatī hī nahīñ ḳhāna-ḳharābī apnī
mutma.in ghar hai ab āñgan meñ sukūñ dauḌtā hai
kaisī vahshat hai ki dam lene kī fursat bhī nahīñ
jis ko dekho vahī ham-rañg-e-junūñ dauḌtā hai
ġhaur kartā huuñ to har lamha-e-be-tāb yahāñ
jitnā maiñ sochtā thā us se fuzūñ dauḌtā hai
apnī raftār pe nāzāñ bhī huuñ sharminda bhī
razm-gah meñ koī be-vaj.h bhī yuuñ dauḌtā hai
aisī vīrānī to dekhī na sunī thī 'aḳhtar'
har taraf ālam-e-fānī meñ sukūñ dauḌtā hai
Top Urdushayar.com