chhīn le quvvat bīnā.ī ḳhudāyā mujh se
dekhā jaatā nahīñ ab terā tamāshā mujh se
ek muddat se azā-dār-e-alam-dār huuñ maiñ
TūTne vaalā nahīñ pyaas kā rishta mujh se
ghaTtā rahtā huuñ maiñ vīrān havelī kī tarah
bhāgtā phirtā hai hañgāma-e-duniyā mujh se
ab kisī meñ bhī yahāñ tāb-e-samā.at na rahī
koī suntā hī nahīñ hai mirā qissa mujh se
mujh ko har lamha qanā.at ne sar-afrāz kiyā
muflisī varna tirā bojh na uThtā mujh se
chain se kaTtī hai ab ḳhema-e-gum-nāmī meñ
koī rishta hī nahīñ ḳhalq-e-ḳhudā kā mujh se
dekhtā hī nahīñ vo merī bulandī kī taraf
ya.anī sharminda hai ab vaqt kā ziina mujh se
fāqa-mastī meñ bhī qaa.em hai mirī kaj-kulahī
aur kyā chāhtī hai azmat-e-rafta mujh se
kab utāroge mire jism se ġhurbat kā libās
pūchhtī hai mirī dīvār-e-shikasta mujh se