kaam aatī nahīñ ab koī tadbīr hamārī
ham se hai ḳhafā sāhibo taqdīr hamārī
aatā hī nahīñ baaz kabhī kār-e-ziyāñ se
paanī pe banātā hai vo tasvīr hamārī
ab sar pe Thahartī nahīñ dastār-e-shujā.at
ḳhud apnā lahū piitī hai shamshīr hamārī
ham ḳhāna-ḳharābī ke asar se nahīñ nikle
puurī na huī hasrat-e-tāmīr hamārī
ab rū-ba-rū aatī hī nahīñ sub.h-e-masarrat
Taltī hī nahīñ hai shab-e-dil-gīr hamārī
har shaḳhs haqārat se hameñ dekh rahā hai
koī bhī batātā nahīñ taqsīr hamārī
vo gosha-e-tanhā.ī meñ paḌhtā hai shab o roz
us ke varaq dil pe hai tahrīr hamārī
gumrāh na hone diyā sābit-qadamī ne
shā.ista-e-tahzīb hai zanjīr hamārī
ham vajd meñ Duube rahe aur ret kī sūrat
muTThī se saraktī rahī jāgīr hamārī
be-tāb-o-tavāñ zīnat-e-dīvār hai 'aḳhtar'
ab larza-bar-andām hai shamshīr hamārī