pas-e-ġhubār-e-talab ḳhauf-e-justujū hai bahut
rafīq-e-rāh magar un kī aarzū hai bahut
laraz ke TuuT hī jaa.e na aaj barg-e-badan
lahū meñ qurb kī garmī ragoñ meñ lū hai bahut
ulajh gayā hai vo ḳhvāhish ke jaal meñ ya.anī
fareb-e-rañg-e-havas ab ke dū-ba-dū hai bahut
kaTā-phaTā sahī malbūs-e-kohnagī na utaar
tire liye yahī dīvār-e-ābrū hai bahut
mizāj-e-vaqt kī tasvīr ban ga.e ham log
laboñ pe barf jamī hai diloñ meñ lū hai bahut
harā-bharā nazar aatā hai yuuñ to vo 'aḳhtar'
dayār-e-dil meñ magar qaht-e-rañg-o-bū hai bahut