Sultan Akhtar

dar-ba-dar ki KHak peshani pe mal kar aaega

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940

dar-ba-dar ḳhaak peshānī pe mal kar aa.egā

ghūm-phir kar rāsta phir mere ghar aa.egā

sāmne āñkhoñ ke phir yaḳh-basta manzar aa.egā

dhuup jam jā.egī āñgan meñ december aa.egā

shor kaisā apnī aahaT bhī na sun pāoge tum

is safar meñ aisā sannāTā to aksar aa.egā

jis ḳhātir shīsha-e-āvāz raushan hai bahut

us jānib se bhī ḳhāmoshī patthar aa.egā

sehn-e-dil meñ kab se tanhā.ī ke ḳheme nasb haiñ

ab na shāyad mausam-e-hañgāma-parvar aa.egā

zindagī bhar ham isī ummīd par chalte rahe

ab ke sahrā paar kar leñ to samundar aa.egā

munhadim ho jā.egī 'aḳhtar' fasīl-e-intishār

jab navāh-e-jāñ meñ vīrānī lashkar aa.egā

Top Urdushayar.com