Sultan Akhtar

ab tak lahu ka zaiqa KHanjar pe naqsh hai

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
ab tak lahū kā zā.iqa ḳhanjar pe naqsh hai
ye kis kā naam dast-e-sitam-gar pe naqsh hai
bārish bhī āftāb kā dāman na dho sakī
kuchh gard ab bhī dhuup ke shahpar pe naqsh hai
terā hī aks raat ke ā.īne meñ asiir
terā hī ḳhvāb niiñd ke bistar pe naqsh hai
jis ko tire laboñ kā tasavvur na dho sake
vo talḳhī-e-hayāt bhī sāġhar pe naqsh hai
āñgan se dastakoñ kī sadā lauT aa.egī
vīrāniyoñ kā naam har ik ghar pe naqsh hai
paanī kī ye lakīr nahīñ hai jo miT sake
shīshe kī dāstān to patthar pe naqsh hai
jakḌā huā hai pichhle janam ke hisār meñ
maazī kā sāneha dil-e-'aḳhtar' pe naqsh hai
Top Urdushayar.com