koī bhī shahr meñ khul kar na baġhal-gīr huā
maiñ bhī uktā.e hue logoñ se uktā ke milā
kahīñ ashkoñ ke diye haiñ na tabassum ke charāġh
log patthar ke hue jaate haiñ rafta rafta
niiñd palkoñ ke darīche se lagī baiThī hai
sone detā hī nahīñ garm havā kā jhoñkā
vo chahaktī huī khiḌkī na mahakte dar-o-bām
un ke kūche meñ bhī kal maut kā sannāTā thā
laakh tahzīb ke ġhāroñ meñ chhupe ham 'aḳhtar'
phir bhī uryāniyat-e-vaqt se dāman na bachā