Sultan Akhtar

harif-e-waqt hun sab se juda hai rah meri

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
harīf-e-vaqt huuñ sab se judā hai raah mirī
na qasr-e-shāh se nisbat na ḳhānqāh mirī
kisī se koī ta.alluq na rasm-o-rāh mirī
ki ab hai ḳhema-e-tanhā.ī ḳhānqāh mirī
na jaane kis ke tajassus meñ ġharq rahtī hai
bhaTaktī phirtī hai chāroñ taraf nigāh mirī
kisī ke rū-ba-rū maiñ sar-nigūñ huā hī nahīñ
mirī anā ne salāmat rakhī kulāh mirī
maiñ apne mulk-e-suḳhan se farāz chāhtā huuñ
mujhe hisār meñ rakhtī hai ab sipāh mirī
charāġh kis liye dahlīz-e-dil pe raushan haiñ
ye kis kī diid ko āñkheñ haiñ farsh-e-rāh mirī
kuchaltā rahtā huuñ ḳhauf-e-ḳhudā se shaam o sahar
ki sar uThātī nahīñ ḳhvāhish-e-gunāh mirī
maiñ apne-āp meñ sarsabz phir bhī rahtā huuñ
agarche kisht-e-tamannā hai be-giyāh mirī
na jaane kitne diloñ meñ shigāf kar Daale
agar nikal ga.ī 'aḳhtar' jo dil se aah mirī
Top Urdushayar.com