sā.at-e-marg-e-musalsal har nafas bhārī huī
phir fazā-e-jāñ pe sadiyoñ kī thakan taarī huī
ḳhānamāñ-barbād yādeñ dastakeñ dene lagīñ
jab kabhī apnī taraf baḌhne kī tayyārī huī
us ne apne aap ko ham par munavvar kar diyā
phir bhī chashm-e-shauq meñ raushan na chiñgārī huī
ab kisī kī bhī nazar uThtī nahīñ sū-e-falak
ham zamīñ vāloñ ko āḳhir kaisī bīmārī huī
vaqt kī daldal meñ ḳhush-āhañg lamhe dhañs ga.e
ya.anī har saa.at sukūt-e-shab kī hai maarī huī
is tarah be-kaif mausam to kabhī guzrā na thā
phuul hī barse na to ab ke sharar-bārī huī
ab dayār-e-dil meñ 'aḳhtar' hū kā aalam bhī nahīñ
kis aziyyat-nāk mausam se mirī yaarī huī