tirā saath paa.eñ kahāñ ye khule par
tire aur mire darmiyāñ ye khule par
falak-zā.ida chhāñv marne lagī hai
simaTtā huā sā.ebāñ ye khule par
tilismoñ kī maarī bhaTaktī nigāheñ
bhalā phir simaTte kahāñ ye khule par
mirī aañkh sahrā bikharte butoñ kā
dishāoñ ke nauha-kunāñ ye khule par
maiñ barg-e-shikasta huuñ dast-e-havā par
faqat merā vahm-o-gumāñ ye khule par
mirī manzileñ zer-e-āb aa chukī haiñ
le ab noch le āsmāñ ye khule par