Sultan Akhtar

KHak uDti hai KHaridar kahan kho gae hain

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
ḳhaak uḌtī hai ḳharīdār kahāñ kho ga.e haiñ
jin se thī raunaq-e-bāzār kahāñ kho ga.e haiñ
sab kī peshāniyāñ sajdoñ se munavvar haiñ yahāñ
ai ḳhudā tere gunahgār kahāñ kho ga.e haiñ
sar-nigūñ baiThe haiñ sab zill-e-ilāhī ke huzūr
kyā hue sāhib-e-dastār kahāñ kho ga.e haiñ
jin ke dāman meñ duāoñ ke ḳhazāne the bahut
vo saḳhāvat ke alam-dār kahāñ kho ga.e haiñ
aisā ehsās-e-ziyāñ to kabhī guzrā hī na thā
dost kyā hue aġhyār kahāñ kho ga.e haiñ
DhūñDhtī phirtī hai pāgal kī tarah shām-e-avadh
lucknow tere trahdār kahāñ kho ga.e haiñ
ḳhāna-e-jāñ meñ añdherā hī añdherā hai tamām
vo farozāñ dar-o-dīvār kahāñ kho ga.e haiñ
manzileñ jin kī qadam-bosī pe nāzāñ thiiñ bahut
vo jarī qāfila-sālār kahāñ kho ga.e haiñ
DhūñDtā phirtā huuñ darvesh o qalandar 'aḳhtar'
sab ke sab ā.īna-kirdār kahāñ kho ga.e haiñ
Top Urdushayar.com