sarsabz mausamoñ kā asar le gayā koī
thoḌī sī chhāñv de ke shajar le gayā koī
merā difā.a merā hunar le gayā koī
dastār jab bachā.ī to sar le gayā koī
kyā kyā na shauq-e-dīd the āñkhoñ meñ ḳhema-zan
vo rū-ba-rū hue to nazar le gayā koī
yuuñ bhī huā hai jashn-e-bahārāñ ke naam par
shāḳheñ tarāsh Dālīñ shajar le gayā koī
āñkhoñ ke ār-pār jahālat kī dhuup hai
sar se ridā-e-ilm-o-hunar le gayā koī
lahroñ meñ iztirāb na maujoñ meñ pech-o-tāb
dariyā-e-dil se mere bhañvar le gayā koī
'aḳhtar' nigār-ḳhāna-e-dil dīdanī hai ab
dīvāreñ toḌ dī ga.iiñ dar le gayā koī