Sultan Akhtar

hum mutmain hain uski raza ke baghair bhi

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
ham mutma.in haiñ us kī razā ke baġhair bhī
har kaam chal rahā hai ḳhudā ke baġhair bhī
lipTī huī hai jism se zanjīr-e-maslahat
be-dast-o-pā haiñ log sazā ke baġhair bhī
ik kārobār-e-shauq hī aisā hai jis meñ ab
chaltā hai kaam makr-o-riyā ke baġhair bhī
ik lamha apne-āp ko yakjā na kar sake
ham muntashir haiñ sail-e-balā ke baġhair bhī
ik chup sī lag ga.ī thī mujhe us ke rū-ba-rū
maiñ sar-nigūñ khaḌā thā ḳhatā ke baġhair bhī
Top Urdushayar.com