Sultan Akhtar

musibat mein bhi ghairat-ashna KHamosh rahti hai

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
musībat meñ bhī ġhairat-āshnā ḳhāmosh rahtī hai
ki durveshoñ kī hājat to sadā ḳhāmosh rahtī hai
ḳhushī kā jashn ho yā mātam-e-marg-e-tamannā ho
yahāñ har haal meñ ḳhalq-e-ḳhudā ḳhāmosh rahtī hai
shajar ko vajd aatā hai na to shāḳheñ lachaktī haiñ
bahāroñ meñ bhī ab bād-e-sabā ḳhāmosh rahtī hai
mirī chashm-e-talab meñ ḳhvāb kā hañgāma ḳhema-zan
magar ta.abīr misl-e-kaj-adā ḳhāmosh rahtī hai
darūn-e-ḳhāna-e-dil roz o shab mahshar bapā lekin
zabāñ apnī barā.e-tajraba ḳhāmosh rahtī hai
chamak uThte haiñ jab chehre tab-o-tāb-e-tamannā se
to phir shā.istagī-e-ā.īna ḳhāmosh rahtī hai
mire chāroñ taraf aks-e-tilism-e-sāmrī raushan
ḳhamoshī chīḳhtī hai aur sadā ḳhāmosh rahtī hai
laraz jaatī haiñ palkeñ ashk jam jaate haiñ āñkhoñ meñ
jab apnī ḳhvāhish-e-be-sāḳhta ḳhāmosh rahtī hai
daraḳhtoñ kī baġhāvat hai ki ye mausam kī be-rahmī
ki jañgal aah bhartā hai havā ḳhāmosh rahtī hai
Top Urdushayar.com