kahāñ se laa.eñ hikāyāt-e-nau kahāñ hai nayā
matā-e-zor-e-bayāñ hī se ye jahāñ hai nayā
ulajhtā rahtā hai kohna-nuqūsh-e-daurāñ se
mire vajūd meñ ik shaḳhs jo nihāñ hai nayā
abhī nuqūsh miTā.e haiñ dil ke patthar se
mirī jabīn pe phir zaḳhm kā nishāñ hai nayā
har ek shai pe vahī gard hai udāsī kī
tum aa ga.e ho to lagtā hai ye jahāñ hai nayā