Sulaiman Aasif

tere hirman-nasibon ki bhi kya taqdir hai saqi

Sulaiman Aasif

tire hirmāñ-nasīboñ kī bhī kyā taqdīr hai saaqī
ba-har-sūrat vahī zindāñ vahī zanjīr hai saaqī
sharāre zindagī ke dekhtā huuñ raakh meñ pinhāñ
mire haq meñ ye ḳhāk-e-āshiyāñ iksīr hai saaqī
bahār aa.ī hai gulshan meñ magar mahsūs hotā hai
nazāre sahme sahme haiñ fazā dil-gīr hai saaqī
ḳhush aa.egī bhalā kaise vo tere mai-parastoñ ko
jo ḳhāmoshī harīf-e-nāla-e-shab-gīr hai saaqī
vo āzādī qafas meñ giit jis ke gaa.e jaate the
gulistāñ meñ vahī ab paañv kī zanjīr hai saaqī
bahār aa.ī qafas ke dar khule bādal uThe barse
duā lekin hamārī tishna-e-tāsīr hai saaqī
faqat ik jurm-e-haq-goī ke chalte terī mahfil meñ
tire 'āsif' kī mastī mojib-e-tāzīr hai saaqī
Top Urdushayar.com