Sulaiman Aasif

nang-e-ehsas hai andoh-e-gharib-ul-watani

Sulaiman Aasif

nañg-e-ehsās hai andoh-e-ġharīb-ul-vatanī
kam nahīñ gard-e-rah-e-shauq kī sāya-faganī
aadmī hotā hai ḳhud apne hī teshe kā shikār
koī āsān nahīñ mashġhala-e-koh-kanī
partav-e-ruḳh se tire kis ko nahīñ hairānī
ashk-e-ā.īna huī hai tirī sīmīñ-badnī
sumbulistāñ haiñ tire gesu-e-pur-ḳham ke asiir
husn-e-qāmat hai tirā nāzish-e-sarv-e-chamnī
apne jaame meñ samātī nahīñ phūloñ kī bahār
dil meñ kāñToñ ke khaTaktī hai ye gul-pairahanī
dekh merī nigah-e-shauq kī manzar-tābī
mahv-e-hairat hai tire husn kī ā.īna-tanī
kyā koī gosh-bar-āvāz huā hai 'āsif'
lab-kushā.ī pe hai majbūr mirī kam-suḳhanī
Top Urdushayar.com