ai jahāñ ġham ke sivā tujh se milā kuchh bhī nahīñ
maiñ pareshāñ to huā par hai gilā kuchh bhī nahīñ
jā paḌeñge vaañ havāoñ kā safar hogā jahāñ
zindagī mauj samundar ke sivā kuchh bhī nahīñ
jo muqaddar ne diyā us ko lagāyā hai gale
jo bichhaḌ ham se gayā us kī ḳhatā kuchh bhī nahīñ
baat kahne kī nahīñ aa to zarā sun to kabhī
mahfiloñ meñ hai mazā tere binā kuchh bhī nahīñ
ḳhvāb āñkhoñ meñ liye din ke ujāloñ meñ chalūñ
shab ki soyā thā ki jaagā thā patā kuchh bhī nahīñ
bas ḳhalāoñ se nazar aa.ī mirī duniyā use
vo samajhtā hai ki andar hai bapā kuchh bhī nahīñ
kaun se muñh se karoge ye bhalā ahd-e-vafā
tum ki kahte the ye pāband-e-vafā kuchh bhī nahīñ
bādaloñ ne jo kahā vo to sabhī ne hai sunā
bārishoñ ne jo kahā us ko sunā kuchh bhī nahīñ
dil-girafta hī sahī ḳhākī pashemāñ to nahīñ
ishq meñ ham ko mayassar jo huā kuchh bhī nahīñ