ham ne hī lauTne kā irāda nahīñ kiyā
us ne bhī bhuul jaane kā va.ada nahīñ kiyā
dukh oḌhte nahīñ kabhī jashn-e-tarab meñ ham
malbūs-e-dil ko tan kā labāda nahīñ kiyā
jo ġham milā hai bojh uThāyā hai us kā ḳhud
sar zer-e-bār-e-sāġhar-o-bāda nahīñ kiyā
kār-e-jahāñ hameñ bhī bahut the safar kī shaam
us ne bhī iltifāt ziyāda nahīñ kiyā
aamad pe terī itr o charāġh o subū na hoñ
itnā bhī būd-o-bāsh ko saada nahīñ kiyā