chaTānoñ kī tarah haiñ ham magar TuuTe hue bhī haiñ
yahāñ har pal bikharne kā hameñ andesha rahtā hai
kabhī bātil bhagā kar haq ko le jaatā hai bastī se
kabhī haq bhes meñ bātil ke aa kar muñh chiḌhātā hai
kabhī andesha-e-bātil hameñ sone nahīñ detā
kabhī haq nīm-shab darvāza aa kar khaTkhaTātā hai
fazā.eñ ek muddat se azānoñ ko tarastī haiñ
yahāñ har shaḳhs harf-e-haq faqat kānoñ meñ kahtā hai
kahīñ ḳhud ko kisī shai kī tarah maiñ bhuul aayā huuñ
yahāñ rahte hue mujh ko to kuchh aisā hī lagtā hai
havāoñ ke alāva kaun aa.egā hamāre ghar
na jaane kis kī ḳhātir ye diyā ab jhilmilātā hai