zindagī be-sā.ebāñ be-ghar kahīñ aisī na thī
āsmāñ aisā nahīñ thā aur zamīñ aisī na thī
ham bichhaḌne se hue gumrāh varna is se qabl
merā dāman tar na thā terī jabīñ aisī na thī
ab jo badlā hai to apnī ruuh tak hairān huuñ
terī jānib se maiñ shāyad be-yaqīñ aisī na thī
bad-gumānī jab na thī tū bhī nahīñ thā mo'tariz
maiñ bhī terī shaḳhsiyat par nukta-chīñ aisī na thī
kyā mire dil aur kyā āñkhoñ kā hissa hai magar
chādar-e-shab is se pahle shabnamīñ aisī na thī
kyā havā aa.ī ki itne phuul dil meñ khil ga.e
pichhle mausam meñ ye shāḳh-e-yāsmīñ aisī na thī