Parveen Shakir

shab wahi lekin sitara aur hai

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
shab vahī lekin sitāra aur hai
ab safar kā isti.āra aur hai
ek muTThī ret meñ kaise rahe
is samundar kā kināra aur hai
mauj ke muḌne meñ kitnī der hai
naav Daalī aur dhārā aur hai
jañg kā hathiyār tai kuchh aur thā
tiir siine meñ utārā aur hai
matn meñ to jurm sābit hai magar
hāshiya saare kā saarā aur hai
saath to merā zamīñ detī magar
āsmāñ kā hī ishāra aur hai
dhuup meñ dīvār hī kaam aa.egī
tez bārish kā sahārā aur hai
hārne meñ ik anā kī baat thī
jiit jaane meñ ḳhasārā aur hai
sukh ke mausam uñgliyoñ par gin liye
fasl-e-ġham kā goshvāra aur hai
der se palkeñ nahīñ jhapkīñ mirī
pesh-e-jāñ ab ke nazāra aur hai
aur kuchh pal us kā rasta dekh luuñ
āsmāñ par ek taara aur hai
had charāġhoñ kī yahāñ se ḳhatm hai
aaj se rasta hamārā aur hai
Top Urdushayar.com