Parveen Shakir

KHayal-o-KHwab hua barg-o-bar ka mausam

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994

ḳhayāl-o-ḳhvāb huā barg-o-bār mausam

bichhaḌ gayā tirī sūrat bahār mausam

ka.ī rutoñ se mire nīm-vā darīchoñ meñ

Thahar gayā hai tire intizār mausam

vo narm lahje meñ kuchh to kahe ki lauT aa.e

samā.atoñ zamīñ par phuvār mausam

payām aayā hai phir ek sarv-qāmat

mire vajūd ko khīñche hai daar mausam

vo aag hai ki mirī por por jaltī hai

mire badan ko milā hai chīnār mausam

rafāqatoñ ke na.e ḳhvāb ḳhushnumā haiñ magar

guzar chukā hai tire e.atibār mausam

havā chalī to na.ī bārisheñ bhī saath aa.iiñ

zamīñ ke chehre pe aayā nikhār mausam

vo merā naam liye jaa.e aur maiñ us naam

lahū meñ guuñj rahā hai pukār mausam

qadam rakhe mirī ḳhushbū ki ghar ko lauT aa.e

koī batā.e mujhe kū-e-yār mausam

vo roz aa ke mujhe apnā pyaar pahnā.e

mirā ġhurūr hai bele ke haar mausam

tire tarīq-e-mohabbat pe bārhā sochā

ye jabr thā ki tire iḳhtiyār mausam

Top Urdushayar.com