qadmoñ meñ bhī takān thī ghar bhī qarīb thā
par kyā kareñ ki ab ke safar hī ajiib thā
nikle agar to chāñd darīche meñ ruk bhī jaa.e
is shahr-e-be-charāġh meñ kis kā nasīb thā
āñdhī ne un rutoñ ko bhī be-kār kar diyā
jin kā kabhī humā sā parinda nasīb thā
kuchh apne-āp se hī use kashmakash na thī
mujh meñ bhī koī shaḳhs usī kā raqīb thā
pūchhā kisī ne mol to hairān rah gayā
apnī nigāh meñ koī kitnā ġharīb thā
maqtal se aane vaalī havā ko bhī kab milā
aisā koī darīcha ki jo be-salīb thā