gavāhī kaise TūTtī muāmla ḳhudā kā thā
mirā aur us kā rābta to haath aur duā kā thā
gulāb qīmat-e-shaguft shaam tak chukā sake
adā vo dhuup ko huā jo qarz bhī sabā kā thā
bikhar gayā hai phuul to hamīñ se pūchh-gachh huī
hisāb bāġhbāñ se hai kiyā-dharā havā kā thā
lahū-chashīda haath us ne chuum kar dikhā diyā
jazā vahāñ milī jahāñ ki marhala sazā kā thā
jo bārishoñ se qabl apnā rizq ghar meñ bhar chukā
vo shahr-e-mor se na thā pa dūrbīñ balā kā thā