havā-e-tāza meñ phir jism o jaañ basāne kā
darīcha kholeñ ki hai vaqt us ke aane kā
asar huā nahīñ us par abhī zamāne kā
ye ḳhvāb-zād hai kirdār kis fasāne kā
kabhī kabhī vo hameñ be-sabab bhī miltā hai
asar huā nahīñ us par abhī zamāne kā
abhī maiñ ek mahāz-e-digar pe uljhī huuñ
chunā hai vaqt ye kyā mujh ko āzmāne kā
kuchh is tarah kā pur-asrār hai tirā lahja
ki jaise rāz-kushā ho kisī ḳhazāne kā