jab saaz kī lai badal ga.ī thī
vo raqs kī kaun sī ghaḌī thī
ab yaad nahīñ ki zindagī meñ
maiñ āḳhirī baar kab hañsī thī
jab kuchh bhī na thā yahāñ pe mā-qabl
duniyā kis chiiz se banī thī
muTThī meñ to rañg the hazāroñ
bas haath se ret bah rahī thī
hai aks to aa.ina kahāñ hai
tamsīl ye kis jahān kī thī
ham kis kī zabān bolte haiñ
gar zehn meñ baat dūsrī thī
tanhā hai agar azal se insāñ
ye bazm-e-kalām kyuuñ sajī thī
thā aag hī gar mirā muqaddar
kyuuñ ḳhaak meñ phir shifā rakhī thī
kyuuñ moḌ badal ga.ī kahānī
pahle se agar likhī huī thī