Parveen Shakir

teri KHushbu ka pata karti hai

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
terī ḳhushbū kā patā kartī hai
mujh pe ehsān havā kartī hai
chuum kar phuul ko āhista se
mo.ajaza bād-e-sabā kartī hai
khol kar band-e-qabā gul ke havā
aaj ḳhushbū ko rihā kartī hai
abr baraste to ināyat us kī
shāḳh to sirf duā kartī hai
zindagī phir se fazā meñ raushan
mish.al-e-barg-e-hinā kartī hai
ham ne dekhī hai vo ujlī saa.at
raat jab sher kahā kartī hai
shab kī tanhā.ī meñ ab to akasr
guftugū tujh se rahā kartī hai
dil ko us raah pe chalnā hī nahīñ
jo mujhe tujh se judā kartī hai
zindagī merī thī lekin ab to
tere kahne meñ rahā kartī hai
us ne dekhā hī nahīñ varna ye aañkh
dil kā ahvāl kahā kartī hai
mus.haf-e-dil pe ajab rañgoñ meñ
ek tasvīr banā kartī hai
be-niyāz-e-kaf-e-dariyā añgusht
ret par naam likhā kartī hai
dekh tū aan ke chehra merā
ik nazar bhī tirī kyā kartī hai
zindagī bhar kī ye tāḳhīr apnī
rañj milne kā sivā kartī hai
shaam paḌte hī kisī shaḳhs kī yaad
kūcha-e-jāñ meñ sadā kartī hai
mas.ala jab bhī charāġhoñ kā uThā
faisla sirf havā kartī hai
mujh se bhī us kā hai vaisā hī sulūk
haal jo terā anā kartī hai
dukh huā kartā hai kuchh aur bayāñ
baat kuchh aur huā kartī hai
Top Urdushayar.com