kamāl-e-zabt ko ḳhud bhī to āzmā.ūñgī
maiñ apne haath se us kī dulhan sajā.ūñgī
supurd kar ke use chāñdnī ke hāthoñ meñ
maiñ apne ghar ke añdheroñ ko lauT ā.ūñgī
badan ke karb ko vo bhī samajh na pā.egā
maiñ dil meñ ro.ūñgī āñkhoñ meñ muskurā.ūñgī
vo kyā gayā ki rifāqat ke saare lutf ga.e
maiñ kis se ruuTh sakūñgī kise manā.ūñgī
ab us kā fan to kisī aur se huā mansūb
maiñ kis kī nazm akele meñ gungunā.ūñgī
vo ek rishta-e-benām bhī nahīñ lekin
maiñ ab bhī us ke ishāroñ pe sar jhukā.ūñgī
bichhā diyā thā gulāboñ ke saath apnā vajūd
vo so ke uTThe to ḳhvāboñ kī raakh uThā.ūñgī
samā.atoñ meñ ghane jañgaloñ kī sāñseñ haiñ
maiñ ab kabhī tirī āvāz sun na pā.ūñgī
javāz DhūñD rahā thā na.ī mohabbat kā
vo kah rahā thā ki maiñ us ko bhuul jā.ūñgī