Parveen Shakir

dukh nawishta hai to aandhi ko likha aahista

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
dukh navishta hai to āñdhī ko likhā āhista
ai ḳhudā ab ke chale zard havā āhista āhista
ḳhvāb jal jaa.eñ mirī chashm-e-tamannā bujh jaa.e
bas hathelī se uḌe rañg-e-hinā āhista
zaḳhm hī kholne aa.ī hai to ujlat kaisī
chhū mire jism ko ai bād-e-sabā āhista
TūTne aur bikharne kā koī mausam ho
phuul kī ek duā mauj-e-havā āhista
jāntī huuñ ki bichhaḌnā tirī majbūrī hai
par mirī jaan mile mujh ko sazā āhista
mirī chāhat meñ bhī ab soch kā rañg aane lagā
aur tirā pyaar bhī shiddat meñ huā āhista
niiñd par jaal se paḌne lage āvāzoñ ke
aur phir hone lagī terī sadā āhista
raat jab phuul ke ruḳhsār pe dhīre se jhukī
chāñd ne jhuk ke kahā aur zarā āhista
Top Urdushayar.com