Parveen Shakir

apni tanhai mere nam pe aabaad kare

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
apnī tanhā.ī mire naam pe ābād kare
kaun hogā jo mujhe us kī tarah yaad kare
dil ajab shahr ki jis par bhī khulā dar is kā
vo musāfir ise har samt se barbād kare
apne qātil kī zehānat se pareshān huuñ maiñ
roz ik maut na.e tarz kī ījād kare
itnā hairāñ ho mirī be-talabī ke aage
vā qafas meñ koī dar ḳhud mirā sayyād kare
salb-e-bīnā.ī ke ahkām mile haiñ jo kabhī
raushnī chhūne kī ḳhvāhish koī shab-zād kare
soch rakhnā bhī jarā.em meñ hai shāmil ab to
vahī ma.asūm hai har baat pe jo saad kare
jab lahū bol paḌe us ke gavāhoñ ke ḳhilāf
qāzi-e-shahr kuchh is baab meñ irshād kare
us kī muTThī meñ bahut roz rahā merā vajūd
mere sāhir se kaho ab mujhe āzād kare
Top Urdushayar.com