andhī bastī meñ ik ajūba huuñ
aañkh rakhtā huuñ aur gūñgā huuñ
din tamāshā.ī mujh ko kyā jaane
merī rātoñ se pūchh kaisā huuñ
rañg-e-duniyā bhī ik tamāshā hai
apne hāthoñ meñ ik khilaunā huuñ
merī mash.al se raat pighlī thī
sub.h tinkā sā maiñ hī bahtā huuñ
kyā ye duniyā hī chāh-e-bābul hai
aadmī huuñ yā maiñ farishta huuñ
ḳhud ko paane kī kyā sabīl karūñ
maiñ inhī rāstoñ meñ khoyā huuñ