Parveen Shakir

kuchh faisla to ho ki kidhar jaana chahiye

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
kuchh faisla to ho ki kidhar jaanā chāhiye
paanī ko ab to sar se guzar jaanā chāhiye
nashtar-ba-dast shahr se chāragarī kī lau
ai zaḳhm-e-be-kasī tujhe bhar jaanā chāhiye
har baar eḌiyoñ pe girā hai mirā lahū
maqtal meñ ab ba-tarz-e-digar jaanā chāhiye
kyā chal sakeñge jin kā faqat mas.ala ye hai
jaane se pahle raḳht-e-safar jaanā chāhiye
saarā jvār-bhāTā mire dil meñ hai magar
ilzām ye bhī chāñd ke sar jaanā chāhiye
jab bhī ga.e azāb-e-dar-o-bām thā vahī
āḳhir ko kitnī der se ghar jaanā chāhiye
tohmat lagā ke maañ pe jo dushman se daad le
aise suḳhan-farosh ko mar jaanā chāhiye
Top Urdushayar.com