justujū kho.e huoñ kī umr bhar karte rahe
chāñd ke hamrāh ham har shab safar karte rahe
rāstoñ kā ilm thā ham ko na samtoñ kī ḳhabar
shahr-e-nā-mālūm kī chāhat magar karte rahe
ham ne ḳhud se bhī chhupāyā aur saare shahr ko
tere jaane kī ḳhabar dīvār-o-dar karte rahe
vo na aa.egā hameñ ma.alūm thā is shaam bhī
intizār us kā magar kuchh soch kar karte rahe
aaj aayā hai hameñ bhī un uḌānoñ kā ḳhayāl
jin ko tere zo.am meñ be-bāl-o-par karte rahe